Sunday, 16 March 2014

Muqaddar azmane main zamanay beet jatay hain


Muqaddar azmane main zamanay beet jatay hain

Muradain dil ki panay main zamanay beet jatay hain

Rakhta agar koi himat azhar-e ulfat ki

Zaban par baat lane main zamanay beet jatay hain

Muhabat zindagi main jo bari mushkil se milti hai

Magar us kay nibahne main zamanay beet jatay hain

Agar ik bar ankhon main achanak a basay koi

Usay dil se bhulane main zamanay beet jatay hain

0 comments:

Post a Comment

Unordered List